Abhi dum nikla nahi
Thoda aur chalne do
Hawao ka rukh badla nahi
Tufaan ko aane do
Maine haar maani nahi
kashti mein hun sawar
Abhi saas baaki hain
Doob jaane do patwar
Door kinara ho sahi
Main chalang laga du
Tairna sikha nhi magar
Samandar ko dubaa dun
Kinare pahuchna mumkin
hai Magar itna zaruri nahi
Kyunki
Zindagi samundar mein hai
Kinhi kinaro mein nhi…
Written by
Shilpi Chauhan Sinha